un  se  do  aañkh  se  aañsū  bhī  bahā.e  na  ga.e
qabr-e-āshiq  ke  nishāñ  bhī  to  miTā.e  na  ga.e
ham  miTe  bhī  to  miTe  ḳhaak  jo  hasrat  na  miTī
ham  ga.e  bhī  to  ga.e  kyā  jo  bulā.e  na  ga.e
bazm-e-dushman  meñ  abhī  the  abhī  apne  ghar  meñ
aa  ke  yuuñ  baiThe  ki  jaise  kahīñ  aa.e  na  ga.e
barq  kahiye  ki  chhalāvā  jo  chamak  dikhlā  kar
is  tarah  aa.e  ki  aa.e  bhī  aur  aa.e  na  ga.e
haiñ  vo  'āshiq'  ki  jagah  pā  ke  na  nikle  dil  se
yaad  aa.e  to  junūñ  mujh  se  bhulā.e  na  ga.e