Akhtar Amaan

mohabbaton mein bahut ras bhi hai miThas bhi hai

Akhtar Amaan

mohabbatoñ meñ bahut ras bhī hai miThās bhī hai
hamāre jiine kī bas ik yahī asaas bhī hai
kabhī to qurb se bhī fāsle nahīñ miTte
go ek umr se vo shaḳhs mere paas bhī hai
kisī ke aane kā mausam kisī ke jaane kā
ye dil ki ḳhush bhī hai lekin bahut udaas bhī hai
badan ke shahar meñ ābād ik darinda hai
agarche dekhne meñ kitnā ḳhush-libās bhī hai
ye jānte haiñ ki sab thak ke gir paḌeñge kahīñ
shikasta logoñ meñ jiine kī kitnī aas bhī hai
vo us kā apnā hī andāz hai bayāñ kā 'amān'
har ek hukm pe kahtā hai iltimās bhī hai
Top Urdushayar.com