jo  dil  meñ  ḳhūn-e-tamannā  kiyā  na  karte  ham
to  misl-e-shola  bhaḌak  kar  jalā  na  karte  ham
agar  na  kashmakash-e-vahshat-e-junūñ  hotī
to  chaak  jaib-o-garebāñ  kiyā  na  karte  ham
agar  na  ḳhātir-e-sayyād  par  garāñ  hote
to  yuuñ  taḌap  ke  qafas  se  uḌā  na  karte  ham
umiid  naqsh  pe  aane  kī  tere  gar  hotī
to  apne  jiine  kī  hargiz  duā  na  karte  ham
na  hote  tere  taġhāful  ke  ham  agar  kushte
to  zer-e-teġh  kabhī  dam  liyā  na  karte  ham
jo  dāġh-e-sīna-e-āshiq  na  mash.alī  hotā
to  āftāb  se  nisbat  diyā  na  karte  ham