falak  chakkar  meñ  kyuuñ  chauñsaTh  ghaḌī  hai
girah  us  ke  bhī  tāle.a  meñ  kaḌī  hai
koī  īsā-nafas  hai  aane  vaalā
ajal  goshe  meñ  vo  dubkī  khaḌī  hai
tire  dar  par  hujūm-e-āshiqāñ  hai
tamannā  bhī  tamannā.ī  khaḌī  hai
tabassum  se  tire  gulshan  meñ  hai  nuur
guloñ  par  chāñdnī  lauTī  paḌī  hai
agar  āshiq  nahīñ  mū-e-kamar  par
ye  choTī  kis  liye  pīchhe  paḌī  hai
koī  haTtī  hai  hasrat  un  ke  dar  se
khaḌī  hai  DaT  ga.ī  hai  jā  aḌī  hai
ba-vaqt-e-zab.h  bismil  teġh  hogī
dil-e-āshiq  ko  aisī  tar-phaḌī  hai