na  maanā  merā  kahnā  dil  gayā  kyuuñ  dād-ḳhvāhī  ko
sazā  dete  haiñ  vaañ  mujrim  banā  kar  be-gunāhī  ko
hamārī  be-kasī  ne  chhān  Daalā  hai  jahāñ  saarā
sivā  tere  Thikānā  hī  nahīñ  hai  be-panāhī  ko
qayāmat  meñ  vo  mujh  ko  dekh  kar  kahte  haiñ  ġhairoñ  se
ḳhudā  kī  shaan  hai  āshiq  chale  haiñ  dād-ḳhvāhī  ko
uḌaa.ī  ḳhaak  us  kī  ḳhuub  jā  kar  koh-o-sahrā  meñ
dil-e-vahshī  ne  kyā  ulTe  diye  chakkar  tabāhī  ko
ujaḌ  jā.egā  jis  din  kārḳhāna  bāda-ḳhvāroñ  kā
bahut  ro.egā  saaqī  kashtī-e-mai  kī  tabāhī  ko
burā  ho  rashk  kā  rahbar  samajh  kar  dil  se  jo  pūchhā
adam  kā  rāsta  batlā  diyā  gum-gashta-rāhī  ko