zindagī  dard  bhī  davā  bhī  thī
ham-safar  bhī  gurez-pā  bhī  thī
kuchh  to  the  dost  bhī  vafā-dushman
kuchh  mirī  aañkh  meñ  hayā  bhī  thī
din  kā  apnā  bhī  shor  thā  lekin
shab  kī  āvāz  be-sadā  bhī  thī
ishq  ne  ham  ko  ġhaib-dān  kiyā
yahī  tohfa  yahī  sazā  bhī  thī
gard-bād-e-vafā  se  pahle  tak
sar  pe  ḳhema  bhī  thā  ridā  bhī  thī
maañ  kī  āñkheñ  charāġh  thiiñ  jis  meñ
mere  ham-rāh  vo  duā  bhī  thī
kuchh  to  thī  rahguzar  meñ  sham-etalab
aur  kuchh  tez  vo  havā  bhī  thī
bevafā  to  vo  ḳhair  thā  'amjad'
lekin  us  meñ  kahīñ  vafā  bhī  thī