kamāl-e-husn  hai  husn-e-kamāl  se  bāhar
azal  kā  rañg  hai  jaise  misāl  se  bāhar
to  phir  vo  kaun  hai  jo  māvarā  hai  har  shai  se
nahīñ  hai  kuchh  bhī  yahāñ  gar  ḳhayāl  se  bāhar
ye  kā.enāt  sarāpā  javāb  hai  jis  kā
vo  ik  savāl  hai  phir  bhī  savāl  se  bāhar
hai  yaad  ahl-e-vatan  yuuñ  ki  reg-e-sāhil  par
girī  huī  koī  machhlī  ho  jaal  se  bāhar
ajiib  silsila-e-rañg  hai  tamannā  bhī
had-e-urūj  se  aage  zavāl  hai  bāhar
na  us  kā  ant  hai  koī  na  isti.āra  hai
ye  dāstān  hai  hijr-o-visāl  se  bāhar
duā  buzurgoñ  kī  rakhtī  hai  zaḳhm  ulfat  ko
kisī  ilaaj  kisī  indimāl  se  bāhar
bayāñ  ho  kis  tarah  vo  kaifiyat  ki  hai  'amjad'
mirī  talab  se  farāvāñ  majāl  se  bāhar