havā.eñ  laakh  chaleñ  lau  sambhaltī  rahtī  hai
diye  kī  ruuh  meñ  kyā  chiiz  jaltī  rahtī  hai
kise  ḳhabar  ki  ye  ik  din  kidhar  ko  le  jaa.e
lahū  kī  mauj  jo  sar  meñ  uchhaltī  rahtī  hai
agar  kahūñ  to  tumheñ  bhī  na  e'tibār  aa.e
jo  aarzū  mire  dil  meñ  machaltī  rahtī  hai
madār  se  nahīñ  haTtā  koī  sitārā  kyuuñ
ye  kis  hisār  meñ  har  chiiz  chaltī  rahtī  hai
vo  aadmī  huuñ  sitāre  huuñ  yā  tamannā.eñ
samay  kī  raah  meñ  har  shai  badaltī  rahtī  hai
yūñhī  azal  se  hai  'amjad'  zamīn  gardish  meñ
kabhī  sahar  to  kabhī  raat  Dhaltī  rahtī  hai