tash.hīr  apne  dard  kī  har  sū  karā.iye
jī  chāhtā  hai  minnat-e-tiflāñ  uThā.iye
ḳhushbū  kā  haath  thaam  ke  kiije  talāsh-e-rañg
paañv  ke  naqsh  dekh  ke  rasta  banā.iye
phir  aaj  pattharoñ  se  mulāqāt  kījiye
phir  aaj  sat.h-e-āb  pe  chehre  banā.iye
har  inkishāf  dard  ke  parde  meñ  aa.egā
gar  ho  sake  to  ḳhud  se  bhī  ḳhud  ko  chhupā.e
phūloñ  kā  rāsta  nahīñ  yaaro  mirā  safar
paañv  aziiz  haiñ  to  abhī  luuT  jā.iye
kab  tak  hinā  ke  naam  pe  dete  raheñ  lahū
kab  tak  nigār-e-dard  ko  dulhan  banā.iye
'amjad'  matā-e-umr  zarā  dekh-bhāl  ke
aisā  na  ho  ki  ba.ad  meñ  aañsū  bahā.iye