ai  dil  us  zulf  kī  rakhiyo  na  tamannā  baaqī
hashr  tak  varna  rahegī  shab-e-yaldā  baaqī
tire  hañgāma  se  ḳhush  huuñ  magar  ai  josh-e-junūñ
kuchh  qayāmat  ke  liye  bhī  rahe  ġhauġhā  baaqī
aap  ko  bech  chukā  huuñ  tire  ġham  ke  hāthoñ
hai  magar  ishq  kā  tere  abhī  saudā  baaqī
ġham-e-hijrāñ  meñ  ga.ī  jaan  chalo  ḳhuub  huā
dostoñ  ko  na  rahe  fikr-e-mudāvā  baaqī
jaan  siine  se  nikalne  ko  hai  dil  pahlū  se
hai  faqat  us  nigah-e-nāz  kā  iimā  baaqī
ḳhāk-e-āshiq  se  ugātā  hai  muġhīlāñ  kā  daraḳht
us  kī  mizhgāñ  kā  hai  marqad  meñ  bhī  khaTkā  baaqī