na  āsmāñ  se  na  dushman  ke  zor  o  zar  se  huā
ye  mojaza  to  mire  dast-e-be-hunar  se  huā
qadam  uThā  hai  to  paañv  tale  zamīñ  hī  nahīñ
safar  kā  ranj  hameñ  ḳhvāhish-e-safar  se  huā
maiñ  bhiig  bhiig  gayā  aarzū  kī  bārish  meñ
vo  aks  aks  meñ  taqsīm  chashm-e-tar  se  huā
siyāhī  shab  kī  na  chehroñ  pe  aa  ga.ī  ho  kahīñ
sahar  kā  ḳhauf  hameñ  ā.īnoñ  ke  Dar  se  huā
koī  chale  to  zamīñ  saath  saath  chaltī  hai
ye  raaz  ham  pe  ayaañ  gard-e-rahguzar  se  huā
tire  badan  kī  mahak  hī  na  thī  to  kyā  rukte
guzar  hamārā  ka.ī  baar  yuuñ  to  ghar  se  huā
kahāñ  pe  so.e  the  'amjad'  kahāñ  khulīñ  āñkheñ
gumāñ  qafas  kā  hameñ  apne  bām-o-dar  se  huā