ye  gard-bād-e-tamanā  meñ  ghūmte  hue  din
kahāñ  pe  jā  ke  rukeñge  ye  bhāgte  hue  din
ġhurūb  hote  ga.e  raat  ke  añdheroñ  meñ
naved-e-amn  ke  sūraj  ko  DhūñDte  hue  din
na  jaane  kaun  ḳhalā  ke  ye  isti.āre  haiñ
tumhāre  hijr  kī  galiyoñ  meñ  gūñjte  hue  din
na  aap  chalte  na  dete  haiñ  rāsta  ham  ko
thakī  thakī  sī  ye  shāmeñ  ye  ūñghte  hue  din
phir  aaj  kaise  kaTegī  pahāḌ  jaisī  raat
guzar  gayā  hai  yahī  baat  sochte  hue  din
tamām  umr  mire  saath  saath  chalte  rahe
tumhīñ  ko  DhūñDte  tum  ko  pukārte  hue  din
har  ek  raat  jo  tāmīr  phir  se  hotī  hai
kaTegā  phir  vahī  dīvār  chāTte  hue  din
mire  qarīb  se  guzre  haiñ  bār-hā  'amjad'
kisī  ke  vasl  ke  vaade  ko  dekhte  hue  din