ye  jo  hāsil  hameñ  har  shai  kī  farāvānī  hai
ye  bhī  to  apnī  jagah  ek  pareshānī  hai
zindagī  kā  hī  nahīñ  Thor-Thikāna  ma.alūm
maut  to  tai  hai  ki  kis  vaqt  kahāñ  aanī  hai
koī  kartā  hī  nahīñ  zikr  vafādārī  kā
in  dinoñ  ishq  meñ  āsānī  hī  āsānī  hai
kab  ye  sochā  thā  kabhī  dost  ki  yuuñ  bhī  hogā
terī  sūrat  tirī  āvāz  se  pahchānī  hai
chain  lene  hī  nahīñ  detī  kisī  pal  mujh  ko
roz-e-avval  se  mire  saath  jo  hairānī  hai
ye  bhī  mumkin  hai  ki  ābādī  ho  is  se  aage
ye  jo  tā-hadd-e-nazar  phailtī  vīrānī  hai
kyuuñ  sitāre  haiñ  kahīñ  aur  kahīñ  aañsū  haiñ
aañkh  vāloñ  ne  yahī  ramz  nahīñ  jaanī  hai
taḳht  se  taḳhta  bahut  duur  nahīñ  hotā  hai
bas  yahī  baat  hameñ  aap  ko  batlānī  hai
dost  kī  bazm  hī  vo  bazm  hai  'amjad'  ki  jahāñ
aql  ko  saath  meñ  rakhnā  baḌī  nādānī  hai