ġhubār-e-dasht-e-talab  meñ  haiñ  raftagāñ  kyā  kyā
chamak  rahe  haiñ  añdhere  meñ  ustuḳhvāñ  kyā  kyā
dikhā  ke  ham  ko  hamārā  hī  qaash  qaash  badan
dilāse  dete  haiñ  dekho  to  qātilāñ  kyā  kyā
ghuTī  diloñ  kī  mohabbat  to  shahr  baḌhne  lagā
miTe  jo  ghar  to  huvaidā  hue  makāñ  kyā  kyā
palaT  ke  dekhā  to  apne  nishān-e-pā  bhī  na  the
hamāre  saath  safar  meñ  the  ham-rahāñ  kyā  kyā
halāk-e-nāla-e-shabnam  zarā  nazar  to  uThā
numūd  karte  haiñ  aalam  meñ  gul-ruḳhāñ  kyā  kyā
kahīñ  hai  chāñd  savālī  kahīñ  gadā  ḳhurshīd
tumhāre  dar  par  khaḌe  haiñ  ye  sā.ilāñ  kyā  kyā
bichhaḌ  ke  tujh  se  na  jī  paa.e  muḳhtasar  ye  hai
is  ek  baat  se  niklī  hai  dāstāñ  kyā  kyā
hai  pur-sukūn  samundar  magar  suno  to  sahī
lab-e-ḳhamosh  se  kahte  haiñ  bādbāñ  kyā  kyā
kisī  kā  raḳht-e-masāfat  tamām  dhuup  hī  dhuup
kisī  ke  sar  pe  kashīda  haiñ  sā.ebāñ  kyā  kyā
nikal  hī  jā.egī  ik  din  madār  se  ye  zamīñ
agarche  pahre  pe  baiThe  haiñ  āsmāñ  kyā  kyā
fanā  kī  chaal  ke  aage  kisī  kī  kuchh  na  chalī
bisāt-e-dahr  se  uTThe  hisāb-dāñ  kyā  kyā
kise  ḳhabar  hai  ki  'amjad'  bahār  aane  tak
ḳhizāñ  ne  chaaT  liye  hoñge  gulistāñ  kyā  kyā