zindagānī  jāvedānī  bhī  nahīñ
lekin  is  kā  koī  saanī  bhī  nahīñ
hai  savā-neze  pe  sūraj  kā  alam
tere  ġham  kī  sā.ebānī  bhī  nahīñ
manzileñ  hī  manzileñ  haiñ  har  taraf
rāste  kī  ik  nishānī  bhī  nahīñ
aa.ine  kī  aañkh  meñ  ab  ke  baras
koī  aks-e-mehrbānī  bhī  nahīñ
aañkh  bhī  apnī  sarāb-ālūd  hai
aur  is  dariyā  meñ  paanī  bhī  nahīñ
juz  tahayyur  gard-bād-e-zīst  meñ
koī  manzar  ġhair-fānī  bhī  nahīñ
dard  ko  dilkash  banā.eñ  kis  tarah
dāstān-e-ġham  kahānī  bhī  nahīñ
yuuñ  luTā  hai  gulshan-e-vahm-o-gumāñ
koī  ḳhār-e-bad-gumānī  bhī  nahīñ