Qayyum Nazar

suraj ki kiran ka shoabada hai

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989

sūraj kiran sho.abada hai

rañg-e-ruḳh-e-zard uḌ gayā hai

naqsh-e-kaf-e-pā ne gul khilā.e

vīrāñ kahāñ ab ye rāsta hai

jaag uTThī haiñ zindagī rāheñ

shāyad koī chāñd ko gayā hai

sholoñ se huā thā baaġh ḳhālī

phir sīna-e-gul bhaḌak uThā hai

patte patte rañg badlā

badlī badlī huī fazā hai

pahle to na yuuñ kabhī huā thā

bhī mujhe dekh kar hañsā hai

begānagī ne ye raaz kholā

merā azal se āshnā hai

shabnam sar-e-nok-e-ḳhār yaanī

lab pe mire harf-e-mudda.ā hai

har dard nahīñ davā muhtāj

yuuñ bhī to ilāj-e-ġham huā hai

terā rahegā bol-bālā

dil merā abas dhaḌak rahā hai

Top Urdushayar.com