Rauf Raza

qarib bhi to nahin ho ki aa ke so jao

Rauf Raza

Amroha, Uttar pradesh, India

1956-2016
qarīb bhī to nahīñ ho ki aa ke so jaao
sitāroñ jaao kahīñ aur jā ke so jaao
thakan zarūrī nahīñ raat bhī zarūrī nahīñ
koī hasīn bahāna banā ke so jaao
kahāniyāñ thī vo rāteñ kahāniyāñ the vo log
charāġh gul karo aur bujh-bujhā ke so jaao
tarīq-e-kār badalne se kuchh nayā hogā
jo duur hai use nazdīk lā ke so jaao
ḳhasāre jitne hue haiñ vo jāgne se hue
so har taraf se sadā hai ke jā ke so jaao
ye kār-e-sher bhī ik kār-e-ḳhair jaisā hai
ke taaq taaq jalo lau baḌhā ke so jaao
udaas rahne kī aadat bahut burī hai tumheñ
latīfe yaad karo hañs-hañsā ke so jaao
Top Urdushayar.com