Akhtar Shahjahanpuri

jo palkon par meri Thahra hua hai

Akhtar Shahjahanpuri

jo palkoñ par mirī Thahrā huā hai
vo aañsū ḳhuun meñ Duubā huā hai
farishte ḳhvān le kar aa rahe haiñ
sahīfa taaq meñ rakkhā huā hai
koī anhonī shāyad ho ga.ī phir
ġhubār-e-kārvāñ Thahrā huā hai
kisī kī ḳhvāhisheñ pā-basta kar ke
ye kab sochā haram rusvā huā hai
vo ik lamha jo tere vasl kā thā
bayāz-e-hijr par likkhā huā hai
mujhe bhī ho gayā irfān-e-zāt ab
muqābil aa.ina rakkhā huā hai
ayādat karne sab aa.e haiñ 'aḳhtar'
tirā chehra magar utrā huā hai
Top Urdushayar.com