saarī  jafā.eñ  saare  karam  yaad  aa  ga.e
jaise  bhī  yaad  aa.e  hoñ  ham  yaad  aa  ga.e
jab  bhī  kahīñ  se  pyaar  milā  yā  ḳhushī  milī
duniyā  ke  dard-o-rañj-o-alam  yaad  aa  ga.e
dekhīñ  haiñ  jab  bhī  gul  ke  qarīñ  chand  titliyāñ
kitne  ḳhayāl-o-ḳhvāb  baham  yaad  aa  ga.e
likkhā  thā  tum  ne  ḳhat  meñ  ki  tum  ne  bhulā  diyā
kyā  hādsa  huā  hai  ki  ham  yaad  aa  ga.e
pardes  meñ  jo  aa.ī  nazar  nargisī  nigāh
ik  bā-vafā  ke  dīda-e-nam  yaad  aa  ga.e
muddat  huī  hai  bichhḌe  hue  apne-āp  se
dekhā  jo  aaj  tum  ko  to  ham  yaad  aa  ga.e
suljhā.īñ  jab  bhī  ziist  kī  'sāġhar'  ne  gutthiyāñ
nāgāh  terī  zulf  ke  ḳham  yaad  aa  ga.e