jaan  jaane  ko  hai  aur  raqs  meñ  parvāna  hai
kitnā  rañgīn  mohabbat  tirā  afsāna  hai
ye  to  dekhā  ki  mire  haath  meñ  paimāna  hai
ye  na  dekhā  ki  ġham-e-ishq  ko  samjhānā  hai
itnā  nazdīk  hue  tark-e-ta.alluq  kī  qasam
jo  kahānī  hai  mirī  aap  kā  afsāna  hai
ham  nahīñ  vo  ki  bhulā  deñ  tire  ehsān-o-karam
ik  ināyat  tirā  ḳhvāboñ  meñ  chalā  aanā  hai
ek  mahshar  se  nahīñ  kam  tirā  aanā  lekin
ik  qayāmat  tirā  pahlū  se  chalā  jaanā  hai
ḳhum  o  miinā  mai  o  mastī  ye  gulābī  āñkheñ
kitnā  pur-kaif  mire  hijr  kā  afsāna  hai