rah-e-hayāt  meñ  bas  vo  qadam  baḌhā  ke  chale
diye  lahū  ke  sar-e-rāh  jo  jalā  ke  chale
guloñ  ko  pyaar  kyā  aur  gale  lagā  ke  chale
chaman  meñ  ḳhāroñ  se  dāman  na  ham  bachā  ke  chale
patā  chalā  na  masāfat  kā  pā  ga.e  manzil
qadam  se  jab  bhī  qadam  dosto  milā  ke  chale
nahīñ  haiñ  vāqif-e-asrār-e-lazzat-e-manzil
jo  rāh-e-shauq  se  kāñTe  haTā  haTā  ke  chale
hazār  ḳhaar  haiñ  dāman  ko  thāmne  vaale
hamāre  haath  se  āñchal  jo  tum  chhuḌā  ke  chale
vo  guzreñ  shauq  se  be-ḳhauf  o  be-ḳhatar  'sāġhar'
dikhā  ke  rāsta  manzil  ko  ham  batā  ke  chale