bahut  ḳhūbiyāñ  haiñ  havas-kār  dil  meñ
nayā  shor  machtā  hai  har  baar  dil  meñ
badan  ko  kaso  aur  bas  muskurā  do
utar  jaao  ab  āḳhirī  baar  dil  meñ
abhī  mere  chehre  kī  rañgat  alag  thī
abhī  ho  rahī  hai  dhuāñ-dār  dil  meñ
na.e  chāñd  par  ab  ke  sadqa  kareñge
salāmat  raheñ  sab  gul  o  ḳhaar  dil  meñ
hameñ  rizq  kī  kuchh  zarūrat  paḌegī
duā  pak  rahī  hai  gunahgār  dil  meñ
azāneñ  huiiñ  sub.h  raushan  huī  hai
chalo  chal  ke  so.eñ  isī  yaar  dil  meñ
maiñ  jaise  hī  us  kī  galī  ko  muḌā  huuñ
na  dil  jeb  meñ  hai  na  dildār  dil  meñ
zamīñ  kī  chaTā.ī  vo  patthar  kā  takiya
ḳharīdār  dil  meñ  na  bāzār  dil  meñ
mahaktā  subuk  sā  uḌā  jā  rahā  huuñ
juTā  hī  liye  saare  aġhyār  dil  meñ
ise  kuchh  na  hone  kā  kitnā  yaqīñ  hai
chhupā  kar  rakho  ye  kalā-kār  dil  meñ
'razā'  āzmāyā  huā  hai  purānā
chalo  yaar  ghar  ko  chalo  yaar  dil  meñ