kyuuñ  dil  tire  ḳhayāl  kā  hāmil  nahīñ  rahā
ye  ā.īna  bhī  diid  ke  qābil  nahīñ  rahā
sahrā-navardiyoñ  meñ  guzārī  hai  zindagī
ab  mujh  ko  ḳhauf-e-dūri-e-manzil  nahīñ  rahā
arbāb-e-rañg-o-bū  kī  nazar  meñ  ḳhudā  gavāh
kab  ehtirām-e-kūcha-e-qātil  nahīñ  rahā
zindāñ  meñ  ḳhāmushī  hai  koī  boltā  nahīñ
had  ho  ga.ī  ki  shor-e-salāsil  nahīñ  rahā
mānūs  is  qadar  hue  dariyā  kī  mauj  se
sāhil  bhī  e'tibār  ke  qābil  nahīñ  rahā
us  vaqt  mujh  ko  dāvat-e-jām-o-subū  milī
jis  vaqt  maiñ  gunāh  ke  qābil  nahīñ  rahā