koī  zaḳhm  khulā  to  sahne  lage  koī  Tiis  uThī  lahrāne  lage
ye  kis  kī  duā  kā  faiz  huā  ham  kyā  kyā  kaam  dikhāne  lage
dil-e-zār  usī  bastī  meñ  chal  tire  naam  kī  sarsoñ  phūlī  hai
chāñdī  kī  saḌak  par  chalte  hue  ab  paañv  tire  kumhlāne  lage
koī  Duub  gayā  to  kyā  Duubā  koī  paar  utrā  to  kyā  utrā
par  kyā  kahiye  dil  dariyā  kī  jo  paañv  dhare  itrāne  lage
abhī  shaam  zarā  sī  mahkī  hai  par  kyā  kahiye  kyā  jaldī  hai
abhī  raat  paḌāv  bhī  aage  hai  aur  ḳhvāb  bulāve  aane  lage
tum  kaun  se  'hāfiz'  o  'ġhālib'  ho  tum  'mīr'  'kabīr'  kahāñ  ke  ho
tumheñ  pahlā  sabaq  bhī  yaad  nahīñ  aur  fankārī  dikhlāne  lage