Goya Faqir Mohammad

ye ek tera jalwa sanam chaar su hai

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
ye ik terā jalva sanam chaar sū hai
nazar jis taraf kījiye tū hī tū hai
ye kis mast ke aane kī aarzū hai
ki dast-e-duā aaj dast-e-subū hai
na hogā koī mujh sā mahv-e-tasavvur
jise dekhtā huuñ samajhtā huuñ tū hai
mukaddar na ho yaar to saaf kah duuñ
na kyūñkar ho ḳhud-bīñ ki ā.īna-rū hai
kabhī ruḳh kī bāteñ kabhī gesuoñ kī
sahar se yahī shaam tak guftugū hai
kisī gul ke kūche se guzrī hai shāyad
sabā aaj jo tujh meñ phūloñ kī bū hai
nahīñ chāk-dāman koī mujh sā 'goyā'
na baḳhiya kī ḳhvāhish na fikr-e-rafū hai
Top Urdushayar.com