kyūñkar  na  ḳhush  ho  sar  mirā  laTakkā  ke  daar  meñ
kyā  phal  lagā  hai  naḳhl-e-tamannā-e-yār  meñ
chāhā  bahut  valī  na  muā  hijr-e-yār  meñ
mahbūb  kyā  ajal  bhī  nahīñ  iḳhtiyār  meñ
mūbāf  surḳh  kyuuñ  na  ho  gesū-e-yār  meñ
shab-ḳhūn  ya.anī  laate  haiñ  shub.hā-e-tār  meñ
mūbāf  hai  kināre  kā  zulf-e-nigār  meñ
yā  barf  kaundtī  hai  ye  abr-e-bahār  meñ
rāhat  ke  saath  rañj  bhī  hai  rozgār  meñ
hañsne  pe  gul  ke  rotī  hai  shabnam  bahār  meñ
pinhāñ  huā  hai  ḳhāl-e-ḳhat-e-mushk-bār  meñ
miltā  nahīñ  hai  DhūñDhe  se  naafā  tatār  meñ
mar  jā.ūñgā  ḳhayāl-e-ruḳh-o-zulf  yaar  meñ
aa  jā.egī  ajal  isī  lail-o-nahār  meñ
lipTī  hai  choTī  yaar  kī  phūloñ  ke  haar  meñ
sumbul  ne  gul  khilā.e  haiñ  fasl-e-bahār  meñ
aa.uuñ  na  aap  meñ  jo  vo  aa.e  kanār  meñ
rakhkhūñ  maiñ  apnī  tarah  use  intizār  meñ
sabza  tak  apnī  qabar  kā  ḳhvābīda  ho  gayā
par  ham  ko  niiñd  aa.ī  na  ik  dam  mazār  meñ
o  barq-e-tūr  tā-ba-kujā  lan-tarāniyāñ
pathrā  ga.iiñ  haiñ  āñkheñ  mire  intizār  meñ
jaa.eñ  kab  āshnā  tirī  dariyā  kī  sair  ko
ashk-e-ravāñ  se  rakhtī  haiñ  dariyā  kanār  meñ
ye  kis  ne  aa  ke  qabar  pe  bechain  kar  diyā
kyā  so  rahī  thī  chain  se  kunj-e-mazār  meñ
aayā  hai  ḳhvāb  bhī  shab-e-va.ada  agar  hameñ
āñkheñ  khulī  rahī  haiñ  tire  intizār  meñ
ḳhāk-e-chaman  se  kyā  hai  mirā  kālbad  banā
dāġhoñ  se  gul  jo  khilte  haiñ  fasl-e-bahār  meñ
ba.ad  az  fanā  bhī  husn-parastī  se  kaam  hai
ā.īna  saañ  safā.ī  hai  sañg-e-mazār  meñ
aañsū  bahā.ūñ  āñkhoñ  se  us  ko  lagā  ke  maiñ
motī  piro.ūñ  yaar  kī  phūloñ  ke  haar  meñ
kyuuñ  muñh  se  boltā  nahīñ  niklā  hai  ab  to  ḳhat
darvāza  band  baaġh  kā  mat  kar  bahār  meñ
rote  haiñ  yaad  gauhar-e-dandān  meñ  un  din
motī  bhare  haiñ  misl-e-sadaf  yaañ  kanār  meñ
kahiye  vo  la.al-e-lab  ḳhat-e-mushkīñ  meñ  dekh  kar
paidā  huā  hai  la.al-e-badaḳhshāñ  tatār  meñ
farhād  kī  ye  āñkheñ  haiñ  shīrīñ  ko  DhūñDhte
ab  dil  ġhazāl  phirtī  nahīñ  kohsār  meñ
muuzī  hai  charḳh  is  se  nahīñ  kaj-ravī  ba.iid
sach  yuuñ  hai  rāstī  nahīñ  raftār  meñ
tujh  bin  nahīñ  ye  jalva-numā  shab  ko  māhtāb
chashm-e-falak  safed  hue  intizār  meñ
to  sun  ke  saath  dauḌūñ  jo  maiñ  man.a  karūñ
zālim  anān-e-sabr  nahīñ  iḳhtiyār  meñ
phūloñ  kā  haar  ban  gayā  hai  motiyoñ  kā  haar
aisā  ḳhushī  se  phuul  gayā  dast-e-yār  meñ
nafrat  ye  in  guloñ  ko  hai  marne  ke  ba.ad  bhī
hotā  nahīñ  hai  gul  mire  sham-e-mazār  meñ
gesū  ko  us  kī  kuchh  nahīñ  parvā-e-naqd-e-dil
ye  maal  vo  hai  jo  hai  sab  chashm-e-yār  meñ
detī  hai  nā-tavānī  agar  ruḳhsat-e-chaman
phañstā  huuñ  dām-e-mauj-e-nasīm-e-bahār  meñ
kartā  hai  koī  turk-dilā  neza-bāziyāñ
dumbāla  surme  kā  ye  nahīñ  chashm-e-yār  meñ
pīsegā  ustuḳhāñ  asar-e-iztirāb-e-dil
aalam  ab  āsiyā  kā  hai  sañg-e-mazār  meñ
bāġh-e-jahāñ  meñ  aish  ke  fursat  bahut  hai  kam
labrez  jām-e-umr  hai  gul  kā  bahār  meñ
kis  māh-vash  se  raat  ham-āġhosh  ham  hue
aalam  hilāl  kā  hai  hamāre  kanār  meñ
masl-e-hinā  hai  ġhair  kī  hāthoñ  mire  bahār
sarsabz  agarche  hoñ  chaman-e-rozgār  meñ
aatā  hai  jab  vo  tan  meñ  mire  jaan  aatī  hai
jaane  meñ  misl-e-umr  nahīñ  iḳhtiyār  meñ
allāh  re  safā.ī-e-ruḳh-e-yār  dekhnā
hairān  hai  ā.īna  kaf-e-ā.īna-dār  meñ
apne  gale  ke  haar  ke  gar  vo  chaḌhā.e  phuul
phūlā  na  phir  samā.ūñ  maiñ  kunj-e-mazār  meñ
gar  peshvā-e-ḳhalq  hai  zāhid  to  kyā  huā
tasbīh  kā  imaam  nahīñ  hai  shumār  meñ
mazmūn  tirī  kamar  kā  hai  kyā  aaj  banda  gayā
anqā  phañsā  hai  un  kī  dām-e-shikār  meñ
jhaḌtī  haiñ  muñh  se  phuul  jo  kartā  hai  baat  tū
tujh  sā  nahīñ  hai  gul  chaman-e-rozgār  meñ
qāsid  to  saaf  kah  dī  mukaddar  hai  mujh  se  kyā
likhā  jo  naama  yaar  ne  ḳhat-e-ġhubār  meñ
talvār  le  jo  haath  meñ  ban  jaa.e  shāḳh-e-gul
sausan  kā  phuul  hue  sipar  dast-e-yār  meñ
ye  kis  ne  aa  ke  qabr  ko  rauñdā  hai  paaoñ  se
aatī  hai  bū-e-gul  mirī  ḳhāk-e-mazār  meñ
ba.ad  az  fanā  bhī  ḳhvāhish-e-dīdār-e-yār  hai
rauzan  koī  zarūr  hai  mere  mazār  meñ
jab  raat  hotī  hai  to  sitāre  nikalte  haiñ
afshāñ  zarūr  chāhiye  the  zulf-e-yār  meñ
kis  ko  ye  hosh  hai  jo  kare  chaak  jeb  ko
bāhar  hoñ  apne  jaame  se  fasl-e-bahār  meñ
farmā.ish  apnī  dekhne  vāloñ  pe  kartī  haiñ
āñkhoñ  ke  Dore  hoñ  mire  phūloñ  ke  haar  meñ
paañv  se  apne  aa.egī  sahrā  meñ  bhī  bahār
chhāle  hamāre  phuul  piro.eñge  ḳhaar  meñ
vājib  hai  āb-e-teġh  se  kar  lījiye  vazū
sajda  jo  kījiye  ḳham-e-abrū-e-yār  meñ
dariyā  meñ  us  kī  tīr-e-mizha  kā  paḌe  jo  aks
surāḳh  ho  har  ik  guhar-e-āb-dār  meñ
aayā  kabhī  na  yaar  na  aayā  maiñ  aap  meñ
apne  aur  us  ke  shikve  kiye  intizār  meñ
nāsūr  paḌ  ga.ī  tire  dāñtoñ  ke  rashk  se
rauzan  nahīñ  haiñ  ye  guhar-e-ābdār  meñ
khā  khā  ke  gul  muā  huuñ  jo  maiñ  mere  ḳhaak  ke
tā.ūs  bante  haiñ  chaman-e-rozgār  meñ
aate  hī  fasl-e-gul  mujhe  josh-e-junūñ  huā
zanjīr-e-dar  se  baaġh  ke  bāñdho  bahār  meñ
karte  hī  saaf  ā.īñe  ko  ḳhaak  dekh  le
jauhar  na  pūchh  jo  haiñ  har  ik  ḳhāksār  meñ
rakhte  nahīñ  ġhurūr  se  vo  paañv  arsh  par
chalte  haiñ  sar  ke  bal  jo  rah-e-kū-e-yār  meñ
batlā.ūñ  kyā  vo  kaisī  hai  ārām  kī  jagah
so  jaa.eñ  paañv  jā.ūñ  agar  kū-e-yār  meñ
apne  sivā  nahīñ  hai  koī  apnā  āshnā
dariyā  kī  tarah  aap  haiñ  apne  kanār  meñ
'goyā'  kabhī  hai  yaas  kabhī  intizār-e-yār
kyā  kyā  haiñ  rañj  zindagī-e-musta.ār  meñ