nazzāra-e-ruḳh-e-sāqī  se  mujh  ko  mastī  hai
ye  āftāb  parastī  bhī  mai-parastī  hai
ḳhudā  ko  bhuul  gayā  mahv-e-ḳhud-parastī  hai
tū  aur  kaam  meñ  hai  maut  tujh  pe  hastī  hai
na  gul  haiñ  ab  na  vo  saaqī  na  mai-parastī  hai
chaman  meñ  meñh  ke  evaz  be-kasī  barastī  hai
ye  mulk-e-husn  bhī  jānāñ  ajiib  bastī  hai
ki  dil  sī  chiiz  yahāñ  kauḌiyoñ  se  sastī  hai
mah-e-siyām  meñ  go  man.a-e-mai-parastī  hai
magar  huuñ  mast  ki  har  roz  fāqa-mastī  hai
ye  be-sabāt  bahār-e-riyāz-e-hastī  hai
kalī  jo  chaTkī  to  hastī  par  apnī  hañstī  hai
bas  ek  raat  kā  mehmān  charāġh-e-hastī  hai
sirhāne  ro.egī  ab  sham.a  gor  hañstī  hai
dilā  ye  gor-e-ġharībāñ  bhī  zor  bastī  hai
bajā.e  abr  yahāñ  be-kasī  barastī  hai
gayā  jo  yaañ  se  tah-e-ḳhāk  vo  kabhī  na  phirā
zamīn  ke  nīche  bhī  dilchasp  koī  bastī  hai
nahā  ke  baal  nichoḌe  to  yaar  kahne  lagā
ghaTā  siyāh  isī  tarah  se  barastī  hai
bas  ek  haath  meñ  do  TukḌe  kar  diyā  ham  ko
hamāre  yaar  kī  ik  ye  bhī  tez-dastī  hai
kiyā  hai  chaak  garebān  sub.h-e-mahshar  tak
ye  apne  josh-e-junūñ  kī  darāz-dastī  hai
hameñ  to  qatl  kiyā  bas  isī  nazākat  ne
ki  vo  uThātī  haiñ  teġh  aur  nahīñ  ukastī  hai
dikhā  ke  phuul  se  chehre  ko  dil  liyā  ḳhush  ho
jo  badle  gul  ke  mile  andalīb  sastī  hai
ab  ek  tauba  pe  aatī  hai  maġhfirat  tire  haath
ḳharīd  kar  ki  nihāyat  ye  jins  sastī  hai
dikhā.e  jis  ne  ye  sūrat  hameñ  dam-e-āḳhir
usī  ko  dekhne  ko  ruuh  ab  tarastī  hai
na  TuuTī  shīsha-e-mai  merī  sañg-e-marqad  se
pas  az  fanā  bhī  mujhe  pās-e-mai-parastī  hai
asiir  kar  ke  hameñ  ḳhush  na  hoiyo  sayyād
ki  tū  bhī  yaañ  to  giraftār-e-dām-e-hastī  hai
ajab  nahīñ  dam-e-īsā  se  bhī  jo  gul  ho  jaate
ki  sham-e-sub.h  hamārā  charāġh-e-hastī  hai
vo  māñgtā  hai  mirī  jaan  rū-numā.ī  meñ
yahī  jo  mol  hai  to  jins-e-husn  sastī  hai
kiyā  hai  us  ne  to  yūsuf  kā  chaak  dāman-e-pāk
na  pūchho  ishq  kī  jo  kuchh  darāz-dastī  hai
kahūñ  maiñ  vahī  hai  saaqī  vahī  subū  vahī  jaam
mudām-e-bāda-e-vahdat  kī  mujh  ko  mastī  hai
alam  hai  teġh-e-do-dam  taire  sar  jhukā.e  huuñ  maiñ
tirī  galī  meñ  bhī  zālim  bulandī  pastī  hai
jo  chāhe  rahmat-e-haq  ijz  kar  shi.ār  apnā
ravāñ  udhar  ko  hai  paanī  jidhar  ko  pastī  hai
safed  ho  ga.ī  mū-e-siyāh  ġhaflat  chhoḌ
huī  hai  sub.h  koī  dam  charāġh  hastī  hai
har  ik  javān  kā  qad  ḳham  huā  hai  piirī  se
ma.āl-e-kār  bulandī  jahāñ  meñ  pastī  hai
vo  apnī  jumbish-e-abrū  dikhā  ke  kahtā  hai
ye  vo  hai  teġh  ishāroñ  hī  se  jo  kastī  hai
che  ḳhush  bavad  ki  bar  aayed  bek  karishma  do  kaar
sanam  baġhal  meñ  hai  dil  mahv-e-haq-parastī  hai
hai  ḳhuub  pahle  se  'goyā'  karūñ  maiñ  tark-e-suḳhan
ki  ek  dam  meñ  ye  ḳhāmosh  sham-e-hastī  hai