lab-e-jāñ-baḳhsh  pe  dam  apnā  fanā  hotā  hai
aaj  iisā  se  ye  bīmār  judā  hotā  hai
zulf  ko  dast-e-hinā.ī  se  jo  chhūtā  hai  vo  shoḳh
to  giraftār  vahīñ  dard-e-hinā  hotā  hai
thā  giraftār-e-shab-o-roz  nigahbānī  meñ
ham  jo  ab  chhūTeñ  haiñ  sayyād  rihā  hotā  hai
phir  bahār  aatī  hai  ai  ḳhār-e-bayābāñ  ḳhush  ho
aaj  kal  phir  guzar  ābla-pā  hotā  hai
mar  ga.e  ham  to  sabā  laa.ī  javāb-e-nāma
vahī  hotā  hai  jo  qismat  meñ  likhā  hotā  hai