ḳhaak  hotī  huī  hastī  se  uThā
ishq  kā  bojh  bhī  miTTī  se  uThā
hijr  thā  bār-e-amānat  kī  tarah
so  ye  ġham  āḳhirī  hichkī  se  uThā
lau  tire  ba.ad  baḌhī  ashkoñ  kī
sho.ala-e-ishq  bhī  paanī  se  uThā
dil  ne  ābād  kiyā  ishq-ābād
ḳhaak  ho  kar  usī  bastī  se  uThā
dil  usī  dard  kī  zulfoñ  kā  asiir
haa.e  vo  dard  jo  paslī  se  uThā
yā  mujhe  qaid-e-anāsir  se  nikāl
yā  mirī  ḳhaak  ko  pastī  se  uThā
āḳhirī  vaqt  meñ  har  rañj  kā  bojh
ḳham-shuda  riiḌh  kī  haDDī  se  uThā
is  se  pahle  ki  mirā  naam  aa  jaa.e
mujhe  is  Doltī  kashtī  se  uThā