mauj-e-ḳhayāl  meñ  na  kisī  jal-parī  meñ  aa.e
dariyā  ke  saare  rañg  mirī  tishnagī  meñ  aa.e
phir  ek  roz  aan  milā  abr-e-ham-mizāj
miTTī  numū-e-pazīr  huī  tāzgī  meñ  aa.e
dāman  bachā  rahe  the  ki  chehra  bhī  jal  gayā
kis  aag  se  guzar  ke  tirī  raushnī  meñ  aa.e
ye  maiñ  huuñ  mere  ḳhvāb  ye  shamshīr-e-be-niyām
ab  terā  iḳhtiyār  hai  jo  tere  jī  meñ  aa.e
ik  baar  is  jahān  se  mil  lenā  chāhiye
aisā  na  ho  ki  phir  ye  faqat  ḳhvāb  hī  meñ  aa.e
āñkhoñ  meñ  vo  lapak  hai  na  siine  meñ  vo  alaav
is  baar  us  se  kahnā  zarā  sādgī  meñ  aa.e
tanhā  udaas  dekh  rahā  thā  maiñ  chāñd  ko
ye  phuul  bahte  bahte  kahāñ  se  nadī  meñ  aa.e
thak-hār  kar  girā  thā  ki  āñkhoñ  meñ  phir  ga.e
'tauqīr'  vo  maqām  jo  āvārgī  meñ  aa.e