badan  meñ  ruuh  kī  tarsīl  karne  vaale  log
badal  ga.e  mujhe  tabdīl  karne  vaale  log
abad  talak  ke  manāzir  sameT  lete  haiñ
zarā  sī  aañkh  ko  zambīl  karne  vaale  log
tumhī  batāo  tumheñ  chhoḌ  kar  kidhar  jaa.eñ
tumhārī  baat  kī  ta.amīl  karne  vaale  log
kise  batā.eñ  ki  shāḳh-e-salīb  kaun  sī  hai
ye  paat  paat  ko  injīl  karne  vaale  log
zamīñ  pe  aa.e  the  kār-e-payambarī  ke  liye
zamīñ  supurd-e-azāzīl  karne  vaale  log
añdherī  raat  hai  ḳheme  meñ  ik  diyā  bhī  nahīñ
kahāñ  haiñ  sabr  ko  qindīl  karne  vaale  log
ubuur  kar  ke  ise  ho  ga.e  kahāñ  ābād
hayāt  rahguzar-e-nīl  karne  vaale  log
ham  apne  ishq  se  duniyā  badalnā  chāhte  haiñ
magar  ye  ishq  kī  tazlīl  karne  vaale  log