parī  uḌ  jā.egī  aur  rājdhānī  ḳhatm  hogī
ye  āñkheñ  band  hote  hī  kahānī  ḳhatm  hogī
kisī  sandūq  meñ  dīmak-zada  ḳhat  dekhte  hī
kahā  dil  ne  ab  us  kī  har  nishānī  ḳhatm  hogī
use  ye  shauq  gahrī  dhund  lipTe  har  shajar  se
mujhe  ye  fikr  kaise  bad-gumānī  ḳhatm  hogī
ḳhabar  kab  thī  tilism  aisā  hai  is  bhīgī  nazar  meñ
yakāyak  jism  se  ḳhuuñ  kī  ravānī  ḳhatm  hogī
zamīñ  par  āsmāñ  hote  parinde  jaan  leñge
sitāroñ  par  bhī  āḳhir  hukmarānī  ḳhatm  hogī
hamārī  raah  meñ  baiThegī  kab  tak  terī  duniyā
kabhī  to  is  zuleḳhā  kī  javānī  ḳhatm  hogī
ḳhudā  jaane  kahāñ  TuuTe  masāfat  kā  tasalsul
par  itnā  jānte  haiñ  be-makānī  ḳhatm  hogī