dekhe  haiñ  manāzir  jo  idhar  shaam  se  pahle
din  Dhalte  badaltī  hai  nazar  shaam  se  pahle
utre  haiñ  yahāñ  dasht  meñ  jo  qāfile  aksar
kitne  haiñ  chale  paar  ḳhizar  shaam  se  pahle
tābinda  bahāroñ  ke  na.e  rañg  liye  to
merī  bhī  kabhī  chhat  pe  utar  shaam  se  pahle
is  dard-o-sitam  kā  nahīñ  ġham  mujh  ko  sanam  tū
hai  aas  ho  ye  ḳhatm  safar  shaam  se  pahle
iflās  se  baḌh  kar  nahīñ  hotā  koī  bhī  dukh
is  ġham  meñ  gire  TuuT  ki  dar  shaam  se  pahle
jo  chhoḌ  ke  jaate  haiñ  yahāñ  beach  bhañvar  meñ
khulte  haiñ  nahīñ  un  pe  ye  dar  shaam  se  pahle
bhaTke  huoñ  kī  rāheñ  to  aksar  haiñ  huī  ġham
kab  milte  unheñ  apne  hī  ghar  shaam  se  pahle
TuuTī  huī  ab  shāḳhoñ  ko  ye  dekh  ki  'mariyam'
haañ  phuuT  ke  rote  haiñ  shajar  shaam  se  pahle