hāsil-e-fan  hai  bas  kalām  kī  daad
varna  miltī  hai  sab  ko  naam  kī  daad
kis  qadar  be-ruḳhī  se  miltā  hai
dushman-e-jāñ  tire  salām  kī  daad
jurm  ġhurbat  pe  jā  ke  lagtā  hai
vaise  bantī  hai  is  nizām  kī  daad
ḳhūbsūrat  hai  kā.enāt  bahut
ḳhāliq-e-husn-e-intizām  kī  daad
ishq  miltā  hai  hijr  ke  hī  evaz
ai  dukāñ-dār  tere  daam  kī  daad
mai-kade  se  nikalte  miltī  hai
hosh  vāloñ  ko  mere  jaam  kī  daad
aap  ne  naqs  to  nikālā  nahīñ
aap  kī  daad  kab  hai  kaam  kī  daad
sahtī  rahtī  huuñ  vahshateñ  'mariyam'
sub.h  miltī  hai  mujh  ko  shaam  kī  daad