dast-e-dāman  duā  rahe  na  rahe
ham  chale  ab  vafā  rahe  na  rahe
maiñ  fanā  kī  Dagar  pe  huuñ  yaaro
ab  kisī  kī  sazā  rahe  na  rahe
aa.ine  tum  to  mere  saath  raho
mujh  meñ  chāhe  adā  rahe  na  rahe
jalnā  qismat  meñ  hai  to  jalnā  hai
chhat  pe  koī  ghaTā  rahe  na  rahe
paañv  nañge  haiñ  har  tamannā  ke
sar  pe  ab  ke  ridā  rahe  na  rahe
ho  ga.ī  jo  ḳhatā  to  ab  ke  baras
mujh  meñ  koī  ḳhatā  rahe  na  rahe
jal  ga.ī  baaġh  kī  umīdeñ  bhī
ab  guloñ  meñ  fazā  rahe  na  rahe
mere  zaḳhmoñ  ke  dast-e-dāman  meñ
dard  kī  ab  davā  rahe  na  rahe
bujh  ga.e  diip  sab  vafāoñ  ke
sahn  meñ  ab  havā  rahe  na  rahe
farq  paḌtā  hai  kyā  bhalā  mujh  ko
us  ke  dil  meñ  daġhā  rahe  na  rahe
alamiye  ḳhuub  ham  ne  jhele  haiñ
Dar  nahīñ  alamiya  rahe  na  rahe
girya-o-ġham  ke  ā.īne  meñ  haiñ
aks  meñ  ab  azā  rahe  na  rahe
mere  pahlū  se  aag  hai  lipTī
sar  pe  bād-e-sabā  rahe  na  rahe
lab  khule  haiñ  to  kuchh  suno  pal-bhar
kyuuñ  ke  phir  ye  gilā  rahe  na  rahe
ab  na  lauTeñge  phir  kabhī  'mariyam'
mere  pīchhe  sadā  rahe  na  rahe