ḳhvāb  jaisī  hī  koī  apnī  kahānī  hotī
yuuñ  to  barbād  na  ye  apnī  javānī  hotī
tere  aane  se  chahak  uThtā  ye  vīrāna-e-dil
phir  se  ābād  vahī  ravish  purānī  hotī
rābta  rakhā  na  diyā  jā-e-sukūnat  kā  pata
is  tarah  bhī  hai  koī  naql-e-makānī  hotī
ab  mire  paas  nahīñ  koī  bhī  rone  kā  javāz
hijr  mausam  kī  sahī  ashk  fishānī  hotī
yaad  karne  kā  tujhe  koī  bahāna  bhī  nahīñ
koī  chhallā  koī  chauḌī  hī  nishānī  hotī
ab  tire  hijr  se  mānūs  tabī.at  hai  mirī
pahle  vaalī  sī  nahīñ  jaañ  pe  girānī  hotī
naḳhl-e-jāñ  pe  jo  barastā  terā  bādal  'mariyam'
kuchh  to  kam  badan  kī  ye  tishna-dahānī  hotī