na  puure  hue  bā-ḳhudā  bechte  haiñ
yuuñ  ḳhvāb-o-ḳhayāloñ  ko  jā  bechte  haiñ
nahīñ  koī  muḳhlis  zamāne  meñ  varna
atā  bechte  the  ridā  bechte  haiñ
tabīboñ  kī  saarī  hai  apnī  kahānī
vafā  bechte  haiñ  shifā  bechte  haiñ
chalo  tum  bhī  ham  se  ye  va.ada  karo  ab
qasam  khā  ke  saarī  anā  bechte  haiñ
ye  ahl-e-zamāna  kahāñ  jānte  haiñ
diloñ  meñ  sulagtī  sadā  bechte  haiñ
hue  haiñ  vo  ham  se  parā.e  ki  aise
lagā  ke  girā  phir  qabā  bechte  haiñ
sitam  pe  sitam  vo  kiye  jā  rahe  haiñ
lagā  ke  vo  zaḳhm  ab  davā  bechte  haiñ
nahīñ  hotī  un  se  koī  baat  bhī  to
ye  āñkhoñ  ke  andhe  duā  bechte  haiñ
bhare  māl-o-daulat  se  kamre  haiñ  ḳhālī
havas  ke  pujārī  kalā  bechte  haiñ
mukammal  ho  terā  funūn-e-safar  ye
haañ  sāġhar  se  kah  do  duā  bechte  haiñ
jo  dekhā  añdherā  to  rāhoñ  meñ  'mariyam'
amāvas  kī  shab  meñ  ziyā  bechte  haiñ