Amanat Lakhnavi

ruh ko rah-e-adam mein mera tan yaad aaya

Amanat Lakhnavi

1815-1858
ruuh ko rāh-e-adam meñ mirā tan yaad aayā
dasht-e-ġhurbat meñ musāfir ko vatan yaad aayā
chuTkiyāñ dil meñ mire lene lagā nāḳhun-e-ishq
gul-badan dekh ke us gul kā badan yaad aayā
vahm hī vahm meñ apnī huī auqāt basar
kamar-e-yār ko bhūle to dahan yaad aayā
barg-e-gul dekh ke āñkhoñ meñ tire phir ga.e lab
ġhuncha chaTkā to mujhe lutf-e-suḳhan yaad aayā
dar-ba-dar phir ke dilā ghar kī hameñ qadr huī
rāh-e-ġhurbat meñ jo bhūle to vatan yaad aayā
aah kyuuñ kheñch ke āñkhoñ meñ bhar aa.e aañsū
kyā qafas meñ tujhe ai murġh-e-chaman yaad aayā
phir 'amānat' mirā dil bhuul gayā aish o tarab
phir mujhe rauza-e-sultān-e-zaman yaad aayā
Top Urdushayar.com