Amanat Lakhnavi

uljha dil-e-sitam-zada zulf-e-butan se aaj

Amanat Lakhnavi

1815-1858
uljhā dil-e-sitam-zada zulf-e-butāñ se aaj
nāzil huī balā mire sar par kahāñ se aaj
taḌpūñgā hijr-e-yār meñ hai raat chaudhvīñ
tan chāndnī meñ hogā muqābil katāñ se aaj
do-chār rashk-e-māh bhī hamrāh chāhiyeñ
vaada hai chāndnī meñ kisī mehrbāñ se aaj
hañgām-e-vasl radd-o-badal mujh se hai abas
niklegā kuchh na kaam nahīñ aur haañ se aaj
qa.ar-e-badan meñ ruuh pukārī ye vaqt-e-naza.a
muddat ke baad uThte haiñ ham is makāñ se aaj
khīñchī hai charḳh ne bhī kisī maañg kī shabīh
sābit huī ye baat mujhe kahkashāñ se aaj
andher thā nigāh-e-'amānat' meñ shaam sahar
tum chāñd kī tarah nikal aa.e kahāñ se aaj
Top Urdushayar.com