lahū  ke  saath  tabī.at  meñ  sansanātī  phire
ye  shaam  shām-e-ġhazal  sī  hai  gungunātī  phire
dhaḌak  rahā  hai  jo  pahlū  meñ  ye  charāġh  bahut
balā  se  raat  jo  aa.e  to  raat  aatī  phire
javāñ  dinoñ  kī  havā  hai  chale  chale  hī  chale
mire  vajūd  meñ  Thahre  ki  aatī  jaatī  phire
ġhurūb-e-shām  to  din  bhar  ke  fāsle  par  hai
kiran  tulū  kī  utrī  hai  jagmagātī  phire
ġham-e-hayāt  nasha  hai  hayāt  lambī  kasak
lahū  meñ  Thokareñ  khaa.e  ki  Dagmagātī  phire
lo  tai  huā  ki  ḳhalā  meñ  hai  mustaqar  apnā
zamīn  jaise  pukāre  jahāñ  bulātī  phire