Mirza Mohammad Taqi Hawas

jawani yaad hum ko apni phir be-iKHtiyar aai

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836

javānī yaad ham ko apnī phir be-iḳhtiyār aa.ī

huā dīvānoñ meñ jab ġhul bahār aa.ī bahār aa.ī

huā thā marg se ġhāfil maiñ kis din josh-e-vahshat meñ

sabā kyuuñ le ke mere sāmne musht-e-ġhubār aa.ī

dikhā.e ranj piirī ke ajal tere taġhāful ne

tujhe aanā thā pahle aah anjām kaar aa.ī

hamāre tausan-e-umr-e-ravāñ ke tez karne ko

shamīm-e-zulf dosh-e-bād-e-sarsar par savār aa.ī

na paayā vaqt ai zāhid koī maiñ ne ibādat

shab-e-hijrāñ huī āḳhir to sub.h-e-intizār aa.ī

na kuchh ḳhatra ḳhizāñ hai na ehsān-e-bahār us par

adam se apnī shāḳh-e-ārzū be-barg-o-bār aa.ī

hamārī dekhiyo ġhaflat na samjhe vaa.e nādānī

hameñ do din ke bahlāne ko umr-e-be-madār aa.ī

jo nañg-e-ishq haiñ vo bul-havas fariyād karte haiñ

lab-e-zaḳhm-e-'havas' se kab sadā-e-zīnhār aa.ī

Top Urdushayar.com