be-vaj.h  nahīñ  gard  pareshāñ  pas-e-mahmil
aatā  hai  koī  be-sar-o-sāmāñ  pas-e-mahmil
az-bas  kashish-e-ishq  se  āgāh  thī  lailā
thī  dekhtī  vo  fitna-e-daurāñ  pas-e-mahmil
kis  soḳhta  kī  ḳhaak  se  uTThā  hai  bagūlā
ik  sho.ala-e-javvāla  hai  pechāñ  pas-e-mahmil
fikr-e-qadam-e-nāqa  huā  qais  ko  paidā
dekhā  jo  haiñ  sahrā-e-muġhīlāñ  pas-e-mahmil
ai  nāqa-kash  itnī  bhī  na  tū  tez-ravī  kar
majnūñ  zi-ḳhud-o-rafta  hai  nālāñ  pas-e-mahmil
shāyad  maiñ  use  dekhūñ  'havas'  bā-lab-e-ḳhandāñ
jaatā  huuñ  is  ummīd  pe  giryāñ  pas-e-mahmil