ba.ad  muddat  jo  maiñ  ai  charḳh-e-kuhan  yaad  aayā
kyā  sitam  koī  nayā  mushfiq-e-man  yaad  aayā
sher  kahtā  thā  ki  mazmūn-e-dahan  yaad  aayā
ik  muamma  ye  dam-e-fikr-e-suḳhan  yaad  aayā
ahl-e-duniyā  ko  kisī  din  na  huī  fikr-e-adam
kyā  musāfir  haiñ  ki  jin  ko  na  vatan  yaad  aayā
dekh  kar  abr-e-bahārī  mirī  nisbat  badlī
sehn-e-gulshan  meñ  dil-e-tauba-shikan  yaad  aayā
rishta-e-jāñ  meñ  girah  paḌ  ga.ī  uljhan  ke  sabab
dil  ko  jab  gesū-e-pur-pech-o-shikan  yaad  aayā
pā  ke  sar-chashma-e-haivāñ  jo  phir  aayā  ulTā
kyā  'sikandar'  ko  tirā  chāh-e-zaqan  yaad  aayā
miT  ga.ī  dil  ke  na  hone  se  vo  dāġhoñ  kī  bahār
ai  'nazar'  vaqt-e-ḳhizāñ  ham  ko  chaman  yaad  aayā