hue  aaj  būḌhe  javānī  meñ  kyā  the
jab  uTThe  the  zaanū  se  haath  āshnā  the
jahāñ  kī  to  har  chiiz  meñ  ik  maza  thā
na  samjhe  ki  kis  shai  ke  ham  mubtalā  the
na  kāfir  se  ḳhil.at  na  zāhid  se  ulfat
ham  ik  bazm  meñ  the  pa  sab  se  judā  the
na  thā  mere  jañgal  meñ  āzād  koī
bagūle  bhī  pāband-e-zulf-e-havā  the
mazār-e-ġharīb  ta.assuf  kī  jā  hai
vo  sote  haiñ  phirte  jo  kal  jā-ba-jā  the
banā  kar  bigāḌā  hameñ  kyuuñ  jahāñ  meñ
ye  sab  harf  kyā  sahv-e-kilk-e-qazā  the
kiye  āḳhirī  naale  do-chār  maiñ  ne
vahī  naale  bāñg-e-shikast-e-darā  the
ḳhudā  jaane  duniyā  meñ  kis  ko  thī  rāhat
'havas'  ham  to  jiine  se  apne  ḳhafā  the