hañste  the  mire  haal  ko  jo  yaar  dekh  kar
un  sab  ne  ro  diyā  mujhe  bīmār  dekh  kar
sab  ham-safīr  chhoḌ  ke  tanhā  chale  ga.e
kunj-e-qafas  meñ  mujh  ko  giraftār  dekh  kar
kyā  jaane  kyā  ġhazab  hai  ye  jaadū  bharī  nigāh
ġhash  kar  gayā  huuñ  maiñ  jise  yak  baar  dekh  kar
ḳhūn-e-jigar  ke  saath  kahīñ  jī  chalā  na  jaa.e
ronā  zarā  tū  dīda-e-ḳhūñ-bār  dekh  kar
apne  'havas'  pe  jab  se  ki  tū  mehrbāñ  huā
jalte  haiñ  raat  din  use  aġhyār  dekh  kar