us  parī-rū  ne  na  mujh  se  hai  nibāhī  kyā  karūñ
sar  kidhar  paTkūñ  kidhar  jā.ūñ  ilāhī  kyā  karūñ
vasl  kā  din  hai  vale  āñkhoñ  ke  mere  sāmne
hai  khaḌī  shab-hā-e-hijrāñ  kī  syāhī  kyā  karūñ
taḳhta  taḳhta  ho  gayā  tūfāñ  meñ  aa  kar  jahāñ
tum  se  ai  yaar  bayāñ  apnī  tabāhī  kyā  karūñ
hai  to  vo  dushman  pe  mahzar  dekh  kar  ḳhuun  kā  mire
sochtā  hai  is  pe  meñ  apnī  gavāhī  kyā  karūñ
TukḌe  TukḌe  dil  huā  jaatā  hai  pahlū  meñ  'havas'
zab.h  kartī  hai  butāñ  kī  kam-nigāhī  kyā  karūñ