koī  armāñ  talāsh-e-dost  kā  kyuuñ  dil  meñ  rah  jaatā
ġhubār  apnā  agar  gard-e-rah-e-manzil  meñ  rah  jaatā
nahīñ  ma.alūm  kis  muddat  se  ḳhanjar  tishna-e-ḳhūñ  thā
koī  ḳhatra  lahū  kā  kyuuñ  tan-e-bismil  meñ  rah  jaatā
safā.ī  kab  thī  mumkin  ye  ġhubār-e-dil  vo  kāfir  hai
mire  dil  se  nikaltā  bhī  to  us  ke  dil  meñ  rah  jaatā
jalā  aur  jal  ke  soz-e-rashk  se  dil  bujh  gayā  fauran
agar  hotā  charāġh-o-sham.a  us  mahfil  meñ  rah  jaatā
ta.assuf  hai  ġhubār-e-qais  kī  parvāz-e-hasrat  par
lipaT  kar  kaash  thoḌā  parda-e-mahmil  meñ  rah  jaatā
na  detā  gar  sahārā  kuchh  umīd-e-vasl  kā  tūfāñ
shanāvar  bahr-e-ġham  kā  hasrat-e-sāhil  meñ  rah  jaatā
is  ā.īne  meñ  gar  vo  dekh  lete  rū-e-anvar  ko
to  kyuuñ  itnā  baḌā  dhabba  mah-e-kāmil  meñ  rah  jaatā
na  miltā  mudda.ā-e-dil  diram  miltā  jo  mun.im  se
magar  ik  daaġh  ban  kar  vo  kaf-e-sā.il  meñ  rah  jaatā
nishāñ  us  kā  kahīñ  miltā  surāġh  us  kā  kahīñ  lagtā
to  apnā  paañv  kyuuñ  thak  kar  rah-e-manzil  meñ  rah  jaatā
'nazar'  ham  ko  ilāqa  sher  se  kyā  par  ye  hasrat  hai
na  rahte  ham  to  apnā  zikr  us  mahfil  meñ  rah  jaatā