Kaukab Zaki

KHair ummat hain mohabbat hain wafa pyar hain hum

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965
ḳhair ummat haiñ mohabbat haiñ vafā pyaar haiñ ham
amn-e-ālam ke zamāne meñ alam-dār haiñ ham
kyuuñ hameñ log samajhte haiñ ki ġhaddār haiñ ham
roz-e-avval se vatan tere vafādār haiñ ham
jañg-e-āzādī meñ ham ne bhī kiyā ḳhud ko nisār
jaan dene ke liye aaj bhī tayyār haiñ ham
buġhz-o-kīne se kudūrat se hai nafrat ham ko
āshtī-amn-o-mohabbat ke parastār haiñ ham
koī ġham-ḳhvār na monis hai zamāne bhar meñ
ek muddat se musībat meñ giraftār haiñ ham
rabb-e-ālam hai faqat ek sahārā terā
varna duniyā meñ to be-yār-o-madadgār haiñ ham
koī baḌh kar hameñ siine se lagā le ai 'zakī'
tañg-nazarī se adāvat se to bezār haiñ ham
Top Urdushayar.com