Kaukab Zaki

aql-o-danish mein kisi se nahin kamtar hum log

Kaukab Zaki

Hyderabad, Telangana, India

1965

aql-o-dānish meñ kisī se nahīñ kamtar ham log

vaqt vāqif hai ki haiñ kitne qad-āvar ham log

kaise Dar jā.eñge dhamkī se tirī ai nādāñ

kyā vāqif nahīñ haiñ kitne dilāvar ham log

ham musalmān haiñ aur paḌhte haiñ haq kalima

saarī duniyā ke taqābul meñ haiñ bartar ham log

garche muflis haiñ magar daulat-e-dīñ rakhte haiñ

dekh kar ham ko na samjheñ ki haiñ kamtar ham log

sāmne lashkar-e-bātil thā hazāroñ magar

DaT ga.e haq ke liye bas the bahattar ham log

mashvara baunoñ ko ye hai ki sadā had meñ raheñ

aur bhūleñ na ki haiñ kitne qad-āvar ham log

sāzisheñ ham ko Dubone rachātā hai adū

ai 'zakī' kah do ki haiñ ḳhuub shanāvar ham log

Top Urdushayar.com