Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

khinch kar yun le chali wahshat bayaban ki taraf

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
khīñch kar yuuñ le chalī vahshat bayābāñ kī taraf
laa.eñ jaise tifl-e-bad-ḳhū ko dabistāñ kī taraf
faiz vahshat kā adā-e-shukr jab vājib huā
sar jhukāyā ham ne mehrāb-e-garebāñ kī taraf
hāsil-e-josh-e-junūñ hai mātam-e-hosh-o-ḳhirad
ḳhaak uḌāte jaate haiñ vahshī bayābāñ kī taraf
aql ke teġh-e-junūn-e-tez se kūche kaTe
kaun aa.e jāda-e-chāk-e-garebāñ kī taraf
kar chukā josh-e-junūñ jins-e-ḳhirad par haath saaf
lauT ab aatī hai bāzār-e-garebāñ kī taraf
ishq ke maktab meñ jab aayā paye dars-e-junūñ
pahle hī uñglī uThī nūn-e-garebāñ kī taraf
mā.il-e-zevar huā jab vo hasīn-e-jāma-zeb
chāñd aayā charḳh se tauq-e-garebāñ kī taraf
hosh meñ aate haiñ dīvāne ga.ī fasl-e-bahār
dasht-e-vahshat chhup rahe pusht-e-garebāñ kī taraf
nāḳhun-e-ġham kā nishāñ dil par hai misl-e-māh-e-nau
uñgliyāñ uThtī haiñ us zaḳhm-e-numāyāñ kī taraf
jab kisī āshiq ne kuchh hāl-e-pareshānī kahā
hañs diye muñh pher kar zulf-e-pareshāñ kī taraf
zo.af meñ jī khol kar rone kī hasrat hai mujhe
dekhtā hai yaas se har ashk dāmāñ kī taraf
sham.a ke sho.ale sitam karte haiñ misl-e-barq-e-tūr
dekhtā huuñ jab 'nazar' bazm-e-hasīnāñ kī taraf
Top Urdushayar.com